Quantcast
Showing posts with label urdu. Show all posts
Showing posts with label urdu. Show all posts
Saturday, 29 June 2013 1 comments

Do Raastay





Mere pass do raastay hain
Dono he dil se jurrhay hain

Aur dono mere nahin hain..


read more "Do Raastay"
Monday, 3 June 2013 3 comments

Raat





Raat jab bhi aati hai,
Ikk azaab laati hai,

       Lekin tum yeh kab samajhtay ho..


read more "Raat"
Saturday, 25 May 2013 1 comments

Zindagi






Kabhi yeh udhti phirti hai,
kabhi kisi phool pe thehrti hai,
Haan, zindagi tu titli hai….
read more "Zindagi"
Thursday, 16 May 2013 1 comments

Koi Baat Nahin




Aaj bhi hawaa chali,
Aaj bhi duaein keen,

Tum magar nahi aaye!





read more "Koi Baat Nahin"
Thursday, 2 May 2013 0 comments

Tumhari Yaad



Sardiyon mein sambhalay rakhti hai,
Garmiyon mein bachaye rakhti hai,

Tumhari yaad kitni achi hai..........



read more "Tumhari Yaad"
Wednesday, 24 April 2013 1 comments

Hawa



Hawa chal rahi hai..
Aap bhi chalain na..
Please,
Mere saath....
read more "Hawa"
Saturday, 20 April 2013 0 comments

Longing





Kabhi kabhi milo mujhe,
Abhi nahin.. tu kal sahi,
Ziddi kaho, kuch bhi kaho,
Ya main koyi pagal sahi,

Kabhi kabhi milo mujhe,

Meri zaat abb meri nahin,
adhoori sahi, mukamal sahi,
Tou nahi hai tu koyi na ho,
Andhaira ho aur jangal sahi.


read more "Longing"
Wednesday, 10 April 2013 3 comments

Baarishain




Kaanon mein saaz bajtay hain,
Aankhon mein rang khiltay hain,
Dil ki dharkan taiz hoti hai,
Paon apne raqs kartay hain,
Baarishain jabb bhi hoti hain,
Kamal karti hain, kamal hoti hain..

read more "Baarishain"
Tuesday, 9 April 2013 1 comments

Farz Karo


Farz karo,
Aaj ka din muhabbat ka aalmi din hai,
Aur farz karo,
Tumhain iqrar karna hai,
Tu farz karo,
Jhoot hi sahi,
Kya tum iqrar karo gay?
Ya pathar banay raho gay?
read more "Farz Karo"
Sunday, 10 February 2013 2 comments

Ab Aur Kya Chahtay Ho?

Ab aur kya chahtay ho?
Tmhari hi yeh enayatain hain,
Kuch is tarha se nawaza hai k,
Meri laadli si zindagi ko qatl kar k,
Umar boht hi daraaz kar di,
Shirin keh k, meethay ban k,
Zeher pila k chalay gaye ho,
Aag jaisi barf kaise,
mere seenay k paar kar di,
Daad daini paray gi tum ko,
Suboot chhoda na laash chhodi..




Ab aur kya chahtay ho?

read more "Ab Aur Kya Chahtay Ho?"
Sunday, 27 January 2013 0 comments

Dil ka mausam


Tujh ko parh k aik kahani aankhon mei tarr aati hai,
Meri kitabon k lafzon mei teri surat nazar aati hai...

Bdal gaya hai mausam bhi, dil ka mausam waisa hai,
Tujh ko aksar soch k dharkan dil se he ladh jati hai..

Kuch tu thoda waqt kathin hai, kch kch tou bhi pathhar jaisa,
Kon si sada hai wo jo tujh ko mere ghar laati hai......

Ban'na sanwarna tu mujh ko na aata tha na aata hai,
Tujh bin yunhi sheesha daikh aankh meri bhar aati hai..

Kaise pagal ladkay ho, khud ko bhool jane ka kehte ho,
Dharkan aisa sochay tu khudsar aur bas mar mar jati hai..

Mera bdalna na jaa'iz hai tujh se rishta hai kuch aisa,
Tujh ko pta hai teri wajah se saans andar aati hai..

Baqi sb kuch chhod k jana bus itna he batla do,
Be manzil si ik sarak pe kaya tujhe Shirin nazar aati hai ?



read more "Dil ka mausam"
0 comments

hadd e pyar se

Ye chehray tere nahi hain lekin phir bhi
Nazar aata hai inn mein chehra tera...

Meri nabz k chalnay mei tera hath boht hai
Mere khoon se rishta hai boht gehra tera..

Tere khayalon se kabhi nahi milti fursat mujh ko
Yun howa karta hai meri sochon pe pehra tera..

Khud hi khud se ladnay pe main datti rehti hun
Tujh se kaya kahun mujh se boht door rehna tera..

Tere baad mere haathon mei bacha kuch bhi nahi
Na wo kangan hai aur na hi wo lams thehra tera..

Ab bhi ussi ek naam k talism mei gum hun Jana !
Wo mujh ko hadd e pyar se Shirin kehna tera..


read more "hadd e pyar se"
0 comments

Aap ka hona




" Kabhi kabhi
jab saans nahi aa rahi hoti
Tu
Aap ka hona
Oxygen k jaisa lagta hai
Kitab mei lafzon k jaisa
Aur
Andhairay mei
rangon k jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab neend nahi aa rahi hoti
Tu
Aap ka hona
Lauri k jaisa lagta hai
Dhoop mei saaye
Aur
Shaam ki chaaye k
jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab dil udas hota hai
Tu
Aap ka hona
Sookhay patton pe chalnay k
jaisa lagta hai
Khamoshi mei awaaz
Aur
Geet mei saaz k
jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab koi bhi sath na ho
Tu
Aap ka hona
Saans k jaisa lagta hai
Hathon mei kisi k hath k jaisa
Aur
Tanhai mei kisi k sath k jaisa
lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab umeedain khonay lagain
Tu
Aap ka hona
Murgh ki azaan k jaisa lagta hai
Khuda pe eemaan
Aur
Jaan mei jaan k jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab main ro parhti hun
Tu
Aap ka hona
Kisi pe maan k jaisa lagta hai
Madham se ik gaanay jaisa
Aur
Khud ko khud mei paanay
jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab ghussa aaye
Tu
Aap ka hona
Aur
Khamoshi se mujhko suntay rehna
Lab ko lab se chhoonay jaisa lagta hai
Taiz dharkan pe kisi k hath k jaisa
Aur
Kaan mei pyar ki baat k jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab sar dukhta ho
Tu
Aap ka hona
Sar ki maalish k jaisa lagta hai
Maa k bejaa laad k jaisa
Aur
Sar pe baap k hath k jaisa lagta hai "




" Kbhi kabhi
Jab darr jauun
Tu
Aap ka hona
Aaghosh k jaisa lagta hai
Barson pehle maangi mannat
Aur
Zameen pe jannat k jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab thhak jauun
Tu
Aap ka hona
Ik naaye aaghaz k jaisa lagta hai
Baadal aur barsaat k jaisa
Aur
Phoolon ki soghaat k jaisa lagta hai "




" Aap tu aksar chup rehte hain
Par
Kabhi kabhi
Jab main chup hoon
Tu
Aap ka mujh se batain karna
Khud se pyar k jaisa lagta hai
Khamoshi mei baaton k jaisa
Aur
Baanhon mei baanhon k jaisa lagta hai "




" Kabhi kabhi
Jab baithay baithay
Main kuch na manoon
Aur
Aap ka yunhi haqq jatlana
Aur kehna k
Tou sirf meri hai
Aur main Tera hoon
Tu
"Jana"
Jaantay hain k mujh ko
Kaisa lagta hai ?
Tu
Mujh ko
Pyyar se pyara lgta hai
 Jaan se jana lagta hai "


read more "Aap ka hona"
Saturday, 26 January 2013 0 comments

Roshni




Roshni,
boht kam hai,
har taraf hain saaye mere..
Aur Main?
Aur main..
kahin nahin hun... 


read more "Roshni"
Saturday, 19 January 2013 0 comments

Bolo, kya khayal hai ?

Khoobsoorat zindagee hai,
Khoobsoorat har ghadi hai,
Musarratain hain chaar soo,
Abb na koyi malaal hai..

Har subh'h hi nayi hai,
Har shaam hi jawan hai,
Aise mein tum kahan ho?
Bolo, kya khayal hai? :P

Kitna chhupo gay mujh se?
Kitna bacho gay mujh se?
Har dil ki hukmaraan hoon,
In aankhon ka sb kamal hai.. :P
read more "Bolo, kya khayal hai ?"
Monday, 31 December 2012 0 comments

Naya Saal

Kya naya saal,
Naye din,
Aur,
Nayi tareekh k sath,
Naya dil,
Naya damagh,
Nayi nazar,
Aur,
Nayi qismat,
bhi laata hai ??

read more "Naya Saal "
Thursday, 15 March 2012 0 comments

Paisha e Muhabbat

Paisha e Muhabbat chhor tu nahi sakte, 
Ab mgr is se kuch guzar basar nahi hota; 

Dil he hasay jata hai hal e dil pe sahib, 
Is ko mera bhi kuch khauf o darr nahi hota; 

Diya wafa ka jalaye rakhain gay khamashi se, 
Ab suno ham se ye agar magar nahi hota; 

Unhain manaya baarhaa ham ne, 
Han mgr un pe asar nahi hota; 

Isi dhoop mei hai chalna parha hamesha, 
Raste mei mere koi shajar nahi hota; 

Gharon mei rehte ho shukr karo logo, 
ya ham se poocho jin ka ghar nahi hota; 

Pairon mei joota hai na sar pe chadar, 
Han yun tu koi bhi safar nahi hota; 

Karam khuda ka har jaga he hota hai, 
Daikh lo Shirin bs aik tum par nahi hota...
read more "Paisha e Muhabbat"
Sunday, 3 April 2011 1 comments

Lamhaati Maut


Raat kaali hoti ja rahi hai shayad aik baja hai ghadiyon pe
Dharkanain bhi sust hain kuch kuch dil ki nazuk ladiyon pe

Kaali raat ka kaala saya kuch apna apna lagta hai
Main aur meri khamoshi ka sath suhana lagta hai

Hijr wisaal firaaq k dukh sukh se mera kaya rishta
Kitna acha hota gar Khuda usko kabhi bus mera likhta

Ussi ik shakhs k khwabon mei uljha rehta hai mann apna
Log bhi batain kartay hain daikh k phhatta purana tann apna

Naam tu maa ne Shirin rakha phir kyun jeevan kadwa hai?
Ajab boht hai har aati jati saans lamhaati maut ka hissa hai

read more "Lamhaati Maut"
Powered by Blogger.
 
;

About Me and My Diary Blog

Here, There, Everywhere

They Say About Diary ...

Recent Comments Widget

Welcome to Diary Of Shirin

Hi there ...
Flag Counter
Blogger Tips And Tricks|Latest Tips For Bloggers Free Backlinks
Blogger Widgets

Total Pageviews