" Kabhi kabhi
jab saans nahi aa rahi hoti
Tu
Aap ka hona
Oxygen k jaisa lagta hai
Kitab mei lafzon k jaisa
Aur
Andhairay mei
rangon k jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab neend nahi aa rahi hoti
Tu
Aap ka hona
Lauri k jaisa lagta hai
Dhoop mei saaye
Aur
Shaam ki chaaye k
jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab dil udas hota hai
Tu
Aap ka hona
Sookhay patton pe chalnay k
jaisa lagta hai
Khamoshi mei awaaz
Aur
Geet mei saaz k
jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab koi bhi sath na ho
Tu
Aap ka hona
Saans k jaisa lagta hai
Hathon mei kisi k hath k jaisa
Aur
Tanhai mei kisi k sath k jaisa
lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab umeedain khonay lagain
Tu
Aap ka hona
Murgh ki azaan k jaisa lagta hai
Khuda pe eemaan
Aur
Jaan mei jaan k jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab main ro parhti hun
Tu
Aap ka hona
Kisi pe maan k jaisa lagta hai
Madham se ik gaanay jaisa
Aur
Khud ko khud mei paanay
jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab ghussa aaye
Tu
Aap ka hona
Aur
Khamoshi se mujhko suntay rehna
Lab ko lab se chhoonay jaisa lagta hai
Taiz dharkan pe kisi k hath k jaisa
Aur
Kaan mei pyar ki baat k jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab sar dukhta ho
Tu
Aap ka hona
Sar ki maalish k jaisa lagta hai
Maa k bejaa laad k jaisa
Aur
Sar pe baap k hath k jaisa lagta hai "
" Kbhi kabhi
Jab darr jauun
Tu
Aap ka hona
Aaghosh k jaisa lagta hai
Barson pehle maangi mannat
Aur
Zameen pe jannat k jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab thhak jauun
Tu
Aap ka hona
Ik naaye aaghaz k jaisa lagta hai
Baadal aur barsaat k jaisa
Aur
Phoolon ki soghaat k jaisa lagta hai "
" Aap tu aksar chup rehte hain
Par
Kabhi kabhi
Jab main chup hoon
Tu
Aap ka mujh se batain karna
Khud se pyar k jaisa lagta hai
Khamoshi mei baaton k jaisa
Aur
Baanhon mei baanhon k jaisa lagta hai "
" Kabhi kabhi
Jab baithay baithay
Main kuch na manoon
Aur
Aap ka yunhi haqq jatlana
Aur kehna k
Tou sirf meri hai
Aur main Tera hoon
Tu
"Jana"
Jaantay hain k mujh ko
Kaisa lagta hai ?
Tu
Mujh ko
Pyyar se pyara lgta hai
Jaan se jana lagta hai "
0 comments:
Post a Comment