Hamain maangnay ki zaroorat nahin rahi
Hamain rehayee mil gayi hai
Shirin zuban bhi ham hain
Bayaan bhi ham hain
Nazar bhi ham hain
Zeher bhi ham hain
Hamee se dunia ki ronakain hain
Hamee se rangon ki kehkashain hain
Hamee se zinda muhabbatain bhi
hamee se nanni shararatain bhi
Hamee hain nafrat
Hamee muhabbat
Khuda gawah hai
Zuban chalay tu zamana thehray
Bayaan karain tu ghazal ki nisbat
Nazar uthayen tu dil hilaayen
Zehar hamara ilaaj jaisa
Khuda ne Shirin bana k ham ko
Asar bhi Shirin sa kar diya hai
0 comments:
Post a Comment