Saans khushk khushk hai
Ankhon mein rang nahin rahay
Boht se log ab sang nahin rahay
Har gunah ki ibteda ham se hi howi
Zuban pur taseer hi na thi shayad
Baat kabhi suni hi nahin gayi
Khayal, khushi aur khawab
Mukhtalif rang he tu hain azaab k
Apni khushbu bhi bhaag gayi ik din
Dar gayi hogi apne saaye se
Dil o jaan bhi tu hain tabhi ghabraye se
Hamari kashti k doobnay ka manzar
Bht bhaaya camera walon ko
Sada khush raho logo!
Kahani mukammal honay waali hai
Ab koyi na aaye idhar
Maut aanay hee waali hai....
0 comments:
Post a Comment