Shaam ka waqt tha..
Suraj ghuroob ho chuka tha..
Main bahar Girls hostel k lawn mein chehel qadmi kar rahi thi..
Wahan kuch ladkiyaan aik group bna k baithi thieen..
Aur..
"Insan(human) insaan(humane) kaise reh sakta hai"
pe baat cheet kar rahi thieen....
Sab ne apna apna nuqta beyaan kiya...
Aur kuch he dair baad wo wahan se chali gayeen..
Lekin main baithi rahi..
Sochti rahi..
Sochte sochte khayal aaya k..
Insan tab tak insaan reh hi nahin sakta
Jab tak wo insaanon mein hai..
Is liye ziada dair tak,
Insaan ko insaanon mein nahi rehna chahiye..
Kyun k,
Insaan rehne k liye,
Insaano se kuch doori boht zaroori hai....
Saans khushk khushk hai
Ankhon mein rang nahin rahay
Boht se log ab sang nahin rahay
Har gunah ki ibteda ham se hi howi
Zuban pur taseer hi na thi shayad
Baat kabhi suni hi nahin gayi
Khayal, khushi aur khawab
Mukhtalif rang he tu hain azaab k
Apni khushbu bhi bhaag gayi ik din
Dar gayi hogi apne saaye se
Dil o jaan bhi tu hain tabhi ghabraye se
Hamari kashti k doobnay ka manzar
Bht bhaaya camera walon ko
Sada khush raho logo!
Kahani mukammal honay waali hai
Ab koyi na aaye idhar
Maut aanay hee waali hai....
Subscribe to:
Posts (Atom)
Powered by Blogger.