Apni zaat ki torh phorh k iss amal mein mujhe aik baat samajh aayi k insaan ki zaat k andar aik beejh hota hai, 'yaqeen ka beejh'. Aur yeh yaqeen ka beejh har insaan k andar pehle se hi mojood hota hai, kahin se khareedna nahin parhta issay, maangna bhi nahin parhta. Yeh hamaray andar pehle se hota hai, hamaray pyaray Allah ki taraf se. Jaise koi tohfa ho.
Haan lekin, yaqeen k iss beejh ko poda ham ne khud banana hota hai. Iss beejh ko waqt daina parhta hai, iss se baatain karni parhti hain. Rooh ki roshni daini parhti hai, pyyar ka paani aur aajizi ki khoraak daini parhti hai.
Jaise bachon k saath khailte raho tu who khush rehtay hain, bilkul aise hi hamain apne yaqeen k saath khailna koodna chahiye taa k yeh ham se door na bhaagay balkay hamaray saath rahay.
Yaqeen k iss beejh ko jb ham zindagi ki oxygen se door rakhte hain tu yeh beejh se bojh ban jata hai. Yeh yaqeen se waswason ka maqeen ban-nay lagta hai.
“Yaqeen” k iss poday ko apna dost bana liya jaye tu yaqeen maanain zindagi mein kuch bhi mushkil nahin rehta. Mushkilain mash'alain ban jati hain.
Ham apne yaqeen ka haath thaam k zindagi ki dor mein lagay rehtay hain, thaktay nahi, aur agar kabhi thakan mehsoos ho tu yehi yaqeen ka poda hamain saaya daita hai aur ham phir se uth kharay hotay hain.
Aik aur baat kahun gi k hamain jab apni zaat pe yaqeen ka saaya rahay tu ham Allah ka, qudrat ka, shukar adaa karna seekh jatay hain.
Phr pta hai kya hota hai?
Phr khali daaman sirf bhara howa mehsoos nahin hota balkay bhar jata hai. Phir kum aur ziada mein bhi koi farq baaqi nahin rehta. Yeh wo lamha hota hai jab hamain andar k shor ko chhupanay k liye ziada bolna nahi parhta balkay khamoshi mein sukoon milnay lagta hai.
Aik aur zarrori baat yeh pta chali mujhe k, zindagi mein “zaroorat” ki bijaye “zaroori” pe focus karna chahiye. Yeh baat bht dair se samajh aayi mujhe lekin maine suna hai k “it’s never too late”. Aur agar late ho bhi jaye tu koi baat nahi. Baat yeh hai k zindagi mein kuch bhi ho jaye, yaqeen k poday par se tawajjo nahi hataani, aankh nahi phairni.